dil wo pyasa hai ki dariya ka tamasha dekhe
aur phir lahr na dekhe kaf-e-dariya dekhe
main har ek haal mein tha gardish-e-dauran ka amin
jis ne duniya nahin dekhi mera chehra dekhe
ab bhi aati hai teri yaad pa is karb ke sath
TuTti nind mein jaise koi sapna dekhe
rang ki aanch mein jalta hua KHushbu ka badan
aankh us phul ki taswir mein kya kya dekhe
koi choTi nahin ab to mere qad se aage
ye zamana to abhi aur bhi uncha dekhe
phir wahi dhund mein lipTa hua paikar hoga
kaun be-kar mein uThta hua parda dekhe
ek ehsas-e-nadamt se laraz uThta hun
jab ram-e-mauj meri wusat-e-sahra dekhe
Ghazal
Dil wo pyasa hai ki dariya ka tamasha dekhe
Akhtar Imam Rizvi