اردو हिंदी
Dil wo kisht-e-arzu tha jis ki paimaish na ki | Shaahi Shayari
dil wo kisht-e-arzu tha jis ki paimaish na ki

Ghazal

Dil wo kisht-e-arzu tha jis ki paimaish na ki

Hasan Nayeem

;

dil wo kisht-e-arzu tha jis ki paimaish na ki
sair-e-duniya ke siwa hum ne koi KHwahish na ki

motiyon se chashm-o-jaan ko aaina-KHana kiya
sip ke TukDon se baam-o-dar ki aaraish na ki

kis ko fursat thi ki sunta us safar ka majra
jab usi manzil-nashin ke honT ne jumbish na ki

us ne jo bhi rup dhaara us ne jo bhi dukh diya
aadmi banne ki hum ne us se farmaish na ki

kuchh qalam-bandi se mujh ko aar tha warna 'naim'
kab mere abr-e-nigah ne fikr ki barish na ki