dil wo kafir ki sada aish ka saman mange
zaKHm pa jae to kambaKHt namak-dan mange
lutf aae jo koi soKHta-saman-e-bahaar
KHaliq-e-rang se phir shoala-e-uryan mange
hasrat-e-did sar-e-baam tamasha chahe
ishq-e-betab sar-e-tur charaghan mange
raat zulfon se kare shoKH andheron ka sawal
raushni lauh-e-jabin se mah-e-taban mange
ek charagh aur sar-e-rah-guzar-e-baad sahi
chaar tinkon ke liye kaun gulistan mange
kam-nigahi ka taqaza hai ki phir jurat-e-shauq
KHud teri shoKHi-e-andaz se unwan mange
dast-e-wahshat ke koi hausle dekhe 'taban'
jab bhi mange to usi shoKH ka daman mange
Ghazal
Dil wo kafir ki sada aish ka saman mange
Taban Ghulam Rabbani