dil wo jis ke aaine mein aks-e-ainda raha
tera daman manzilon mein bhi daraKHshanda raha
aah-e-awara ki surat ruh-e-gul pyasi rahi
phul KHushbu ban ke shabnam ke liye zinda raha
hae wo ek muflis-o-be-KHanuma jo umr-bhar
saya-e-diwar ahl-e-zar ka bashinda raha
kaun hum se chhin sakta hai mohabbat ka mizaj
pattharon mein rah ke bhi ye naqsh tabinda raha
zindagi se yun to samjhauta kiya sab ne magar
jis ne jine ki qasam khai wahi zinda raha
kaenat-o-nur-o-zulmat hai mera apna wajud
raushni mein bhi mera saya numainda raha
jaane kya kya kah gaya us se mera husn-e-sukut
der tak wo mere chup rahne pe sharminda raha
hadse to aur bhi 'tasnim' se uljhe magar
ek tera gham tha jo har aalam mein painda raha

Ghazal
Dil wo jis ke aaine mein aks-e-ainda raha
Tasneem Faruqi