dil wale hain hum rasm-e-wafa hum se mili hai
duniya mein mohabbat ko baqa hum se mili hai
wo KHanda-ba-lab zikr-e-gulistan pe ye bole
ghunchon ko tabassum ki ada hum se mili hai
sadiyon se taraste hue kanon mein jo pahunchi
tariKH se puchho wo sada hum se mili hai
hum wo hain ki KHud phunk diye apne nasheman
gulshan ke andheron ko ziya hum se mili hai
kya ek hi mehwar pe hai Thahri hui duniya
wo jab bhi mili hai to KHafa hum se mili hai
wo but jo KHuda aaj bane baiThe hain un ko
ye shan-e-KHudai ba-KHuda hum se mili hai
hum Thahre hain tufan-e-hawadis ke muqabil
baDh baDh ke gale mauj-e-bala hum se mili hai
sikha hai jalane ka chalan shama ne tum se
parwanon ko jalne ki ada hum se mili hai
hum ahl-e-mohabbat hain lahu dete hain 'rahi'
be-nur charaghon ko ziya hum se mili hai
Ghazal
Dil wale hain hum rasm-e-wafa humse mili hai
Rahi Shahabi