dil use de diya 'saKHi' hi to hai
marhaba parwarish-e-ali hi to hai
dil diya hai dilawari hi to hai
jaan bhi us ko denge ji hi to hai
kyun hasinon ki aankh se na laDe
meri putli ki mardumi hi to hai
na hui hum se umr bhar sidhi
abru-e-yar ki kaji hi to hai
aariz us ka na dekhun mar jaun
zindagi meri aarzi hi to hai
na hanse wo na gul dahan ka khula
abhi nam-e-KHuda kali hi to hai
ki KHitabat ko gar KHuda samjha
banda bhi aaKHir aadmi hi to hai
gal mein wan hawa ke sadme se
paD gaya nil nazuki hi to hai
aaj kyun chaunk chaunk paDte ho
is makan mein faqat 'saKHi' hi to hai
Ghazal
Dil use de diya saKHi hi to hai
Sakhi Lakhnvi