dil us se laga jis se ruTha bhi nahin jata
kaam us se paDa jis ko chhoDa bhi nahin jata
din raat taDapta hun ab jis ki judai mein
wo samne aae to dekha bhi nahin jata
manzil pe pahunchne ki ummid bandhe kaise
panw bhi nahin uThte rasta bhi nahin jata
ye kaun si basti hai ye kaun sa mausam hai
socha bhi nahin jata bola bhi nahin jata
angaron ki manzil mein zanjir-bapa hain hum
Thahra bhi nahin jata bhaga bhi nahin jata
is martaba chhai hai kuchh aisi ghaTa jis se
khulna bhi nahin hota barsa bhi nahin jata
har haal mein itne bhi be-bas na hue the hum
daldal bhi nahin lekin nikla bhi nahin jata
mar jate the ghairon ke kanTa bhi jo chubhta tha
KHud qatl hue lekin roya bhi nahin jata
kafir hon jo hasrat ho jine ki magar 'shohrat'
is haal mein yaron ko chhoDa bhi nahin jata

Ghazal
Dil us se laga jis se ruTha bhi nahin jata
Shohrat Bukhari