اردو हिंदी
Dil unhen roe jo sail-e-tirgi mein gum hue | Shaahi Shayari
dil unhen roe jo sail-e-tirgi mein gum hue

Ghazal

Dil unhen roe jo sail-e-tirgi mein gum hue

Adeeb Suhail

;

dil unhen roe jo sail-e-tirgi mein gum hue
ya unhen jo aap apni raushni mein jal-bujhe

husn ho jata hai jis lamhe zarurat ka asir
ek ho jate hain us dam KHair-o-shar ke daere

sab hawa ke ruKH par uDte barg ke hain ham-nawa
kaun le us ki KHabar rahta hai jo patthar tale

raushni darkar hai to KHud hi rauzan wa karo
muntazir kab tak rahoge tum hawa-e-tez ke

koi to hota jo KHun-e-fan ki qimat jaanta
dost nashir se to ab tak uzr-name hi mile