dil un ki yaad se jo bahalta chala gaya
gham aap apni aag mein jalta chala gaya
tu la-makan hai to meri manzil bhi be-nishan
tere liye chala to main chalta chala gaya
kanTe jahan jahan pe mile rah-e-ishq mein
daman bacha bacha ke nikalta chala gaya
nakaamiyon se kam na hua hausla mera
Thokar lagi to aur sambhalta chala gaya
maujon ke ruKH ko pher diya main ne barha
tufan ka sar uTha to kuchalta chala gaya
ye jaan kar ki gham hai teri yaad ka sabab
main har KHushi ko gham se badalta chala gaya
ahl-e-zamana gard ko meri na pa sake
har qafile se dur nikalta chala gaya
ashya hain 'barq' silsila-e-wahdat-ul-wajud
sau sau tarah se nam badalta chala gaya

Ghazal
Dil unki yaad se jo bahalta chala gaya
Rahmat Ilahi Barq Aazmi