dil un ki mohabbat ka jo diwana lage hai
ye aisi haqiqat hai jo afsana lage hai
aalam na koi puchhe meri wahshat-e-dil ka
ghar apne agar jaun to virana lage hai
baDhte nahin kyun mere qadam aage ki jaanib
nazdik hi shayad dar-e-jaanana lage hai
waise to kisi ne mujhe aisa nahin jaana
diwana kaha tum ne to diwana lage hai
rudad-e-alam un se jo qasid ne bayan ki
farmane lage hans ke ye afsana lage hai
main ne to banai thi faqat aap ki taswir
dil mera magar aaj sanam-KHana lage hai
ab apna bhi begana nazar aata hai 'wasfi'
begana to begana hai begana lage hai
Ghazal
Dil unki mohabbat ka jo diwana lage hai
Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi