اردو हिंदी
Dil un ka hai kuchh aur to hai unki zaban aur | Shaahi Shayari
dil un ka hai kuchh aur to hai unki zaban aur

Ghazal

Dil un ka hai kuchh aur to hai unki zaban aur

Arsh Malsiyani

;

dil un ka hai kuchh aur to hai un ki zaban aur
karta hun yaqin jitna main baDhta hai guman aur

manzil ka junun hai to har ek gam hai manzil
miTta hai nishan us ka to milta hai nishan aur

parwane ke matam mein bujhi shama ye kah kar
tere liye hazir hai ye thoDa sa dhuan aur

pur-dard jo dil hain unhen roko na fughan se
hote hain ye KHamosh to karte hain fughan aur

yarab ye suna hai wo samajhte nahin urdu
de aur dil un ko jo na de mujh ko zaban aur

hota hai fuzun yas mein soz-e-gham-e-ulfat
bujhta hai to hota hai ye dil shoala-fishan aur

apnon hi se tum ishq mein ghabra gae sahab
is rah mein hail hain abhi sang-e-giran aur

duniya mein to mamnua hai jannat mein hai jaez
kya baat hai waiz ki yahan aur wahan aur

hoti hai zaban band to kya kuchh nahin kahti
rukti hai ye talwar to hoti hai rawan aur

asnam-tarashi bhi baDi chiz hai lekin
hai nazuki-e-kargah-e-shisha-garan aur

kahne ko to ai 'arsh' suKHan-sanj hain hum bhi
haq ye hai ki 'ghaalib' ka hai andaz-e-bayan aur