dil uchkegi ki bikhri hai aDi hai
ye choTi kis liye pichhe paDi hai
chhupega kab hamara KHun-e-nahaq
ye choTi kis liye pichhe paDi hai
kahin baad-e-saba aage na dhar le
ye choTi kis liye pichhe paDi hai
adu is resman se sar na chaDh jae
ye choTi kis liye pichhe paDi hai
kamand is ghat se phenki hai kis par
ye choTi kis liye pichhe paDi hai
kisi ka KHun-e-nahaq sar na ho jae
ye choTi kis liye pichhe paDi hai
jafaen mu-ba-mu aati hain aage
ye choTi kis liye pichhe paDi hai
uDaya dil girah katregi kya aur
ye choTi kis liye pichhe paDi hai
ghazab tha samna tark-e-nazar ka
ye choTi kis liye pichhe paDi hai
kisi ka KHun gardan par na chaDh jae
ye choTi kis liye pichhe paDi hai
'bayan' kam thi hamari tira-baKHti
ye choTi kis liye pichhe paDi hai
Ghazal
Dil uchkegi ki bikhri hai aDi hai
Bayan Meeruti