dil TuTne ka band ye ranj-o-malal kar
ab phenkna ye kanch kahan hai KHayal kar
masruf DhunDne mein hai koi shikar ko
baiTha hai koi apna yahan jal Dal kar
jis aadmi ko zahr bhi pachta tha ai tabib
pine laga hai aaj wo pani ubaal kar
nasur ho gaya tha ye na-qabil-e-rafu
dil phenkna paDa hamein aaKHir nikal kar
iman ko bhi apne jahan se bachaiye
locker mein mal-o-zar hi na rakhiye sambhaal kar
gar puchhna hi hai to zamane ka haal puchh
bare paDosiyon ke na hum se sawal kar
'jaanib' nasib wale to chahenge bas yahi
ho faisle jahan mein sikke uchhaal kar
Ghazal
Dil TuTne ka band ye ranj-o-malal kar
Mahesh Janib