dil TuTa to kya se kya nuqsan hua
yak-dam mujh mein nazil ek shaitan hua
ye fitrat hai aur fitrat ka matlab hai
jis ne pahle mara wo bhagwan hua
sach bola tha main ne tum ne jhuT suna
mujh pe tum aur main tum pe hairan hua
baiat nahin ki hum ne unche namon ki
par jo likkha sab ka sab farman hua
bhiD lagi thi rang-birange namon ki
phir meri be-rangi ka elan hua
Ghazal
Dil TuTa to kya se kya nuqsan hua
Arif Ishtiaque