dil tujhe pa ke bhi tanha hota
dur tak hijr ka saya hota
aur to apne liye kya hota
apna dukh hi koi apna hota
aap aate ki na aate dil mein
jalta-bujhta koi shoala hota
aarzu phir nai karte tabir
phir naya koi tamasha hota
phir wahi ek KHalish si hoti
phir kisi ne hamein dekha hota
zaKHm phir koi mahakta dil mein
samne phir koi chehra hota
phir gale wahshaten miltin hum se
phir wahi hum wahi sahra hota
the KHafa tum to hamara dam-saz
aafat-e-jaan koi tum sa hota
tujh ko nafrat hai to apna dil bhi
rafta rafta tujhe bhula hota
thak ke soya hai jo ab raat gae
sham hote use dekha hota
Ghazal
Dil tujhe pa ke bhi tanha hota
Ahmad Hamdani