dil toD kar wo dil mein pashiman hua to kya
ek be-niyaz-e-naz pe ehsan hua to kya
apna ilaj-e-tangi-e-dil wo na kar sake
mera ilaj-e-tangi-e-daman hua to kya
jab baal-o-par hi nazr-e-qafas ho ke rah gae
sehn-e-chaman mein shor-e-bahaaran hua to kya
ek umr rakh ke ruh meri tishna-e-nashat
ab naghma-e-hayat par-afshan hua to kya
jab mere waste dar-e-mai-KHana band hai
sahba mein gharq aalam-e-imkan hua to kya
TuTe paDe hain saz-e-mohabbat ke tar tar
ab shahid-e-KHayal ghazal-KHwan hua to kya
aadam ne ek KHosha-e-gandum ko kya kiya
mujrim kabhi jo bhuk se insan hua to kya
'wamiq' ki tira-baKHti ka aalam wahi raha
zulmat-kade mein chashma-e-haiwan hua to kya
Ghazal
Dil toD kar wo dil mein pashiman hua to kya
Wamiq Jaunpuri