dil to pazhmurda hai dagh-e-gulsitan hon to kya
aankhen roti hain dahan-e-zaKHm KHandan hon to kya
dagh-e-gham dil par uTha kar marne wale mar gae
burj qabron ke agar sarw-e-charaghan hon to kya
begamen shahzadiyan phirne lagin KHana-KHarab
ab chuDelen sahiban-e-qasr-o-diwan hon to kya
farsh-e-KHak ab ahl-e-masnad ko nahin hota nasib
boriya-baf aaj zeb-e-taKHt-e-sultan hon to kya
masjiden TuTi paDi hain saumee viran hain
yaad-e-haq mein ek do dil-ha-e-sozan hon to kya
sufiyan-saf-tinat wasil-e-haq ho gae
KHud-numa do chaar nang-e-ahl-e-irfan hon to kya
bujh gain shamen jalen parwane to kya faeda
uD gae parwane shamen nur-afshan hun to kya
saKHt-jaan o be-haya do chaar hum se jo rahe
har ghaDi paband-e-KHauf-e-izzat-o-jaan hon to kya
karbala mein ya najaf mein chal ke mar jaen 'munir'
hind mein hum pahlu-e-gor-e-ghariban hon to kya
Ghazal
Dil to pazhmurda hai dagh-e-gulsitan hon to kya
Muneer Shikohabadi