اردو हिंदी
Dil to pakka tha magar dil ki dalilen kachchi | Shaahi Shayari
dil to pakka tha magar dil ki dalilen kachchi

Ghazal

Dil to pakka tha magar dil ki dalilen kachchi

Mohan Seerat Ajmeri

;

dil to pakka tha magar dil ki dalilen kachchi
le girin puKHta imarat ko fasilen kachchi

aa gae rang ke dhoke mein zamane wale
surKH phulon pe jhapaTti rahin chilen kachchi

aa gai baat sar-e-bazm zaban par dil ki
tu ne honTon pe jaDin zabt ki kilen kachchi

kachche angur ki ek bel badan hai us ka
aur aankhen hain mai-e-nab ki jhilen kachchi

le uDe abr ke TukDon ko hawa ke jhonke
sukh kar baiTh gain KHak mein jhilen kachchi

phir palaT aaenge 'sirat' ye junun ke mausam
dhajjiyan jeb o gareban ki si len kachchi