dil to ek shaKHs ko naKHchir banane mein gaya
saz-e-dil naghma-e-dil-gir banane mein gaya
raat ek KHwab jo dekha to hua ye malum
din bhi us KHwab ki taswir banane mein gaya
partaw-e-KHana-e-mauhum ghanimat tha magar
wo bhi ek naqsha-e-tamir banane mein gaya
ruh to ruh hai kuchh bas nahin is par lekin
ye badan KHak ko iksir banane mein gaya
yar to dirham o dinar banane mein gae
aur main ishq ki jagir banane mein gaya
sher tasir se KHali hua waqt-e-tabir
nafs-e-mazmun bhi taqrir banane mein gaya
Ghazal
Dil to ek shaKHs ko naKHchir banane mein gaya
Mahtab Haider Naqvi