dil to hai ek magar dard ke KHane hain bahut
is liye mujh ko bhi rone ke bahane hain bahut
ab nae dost banane ki to himmat hi nahin
dil se nazdik hain jo dost purane hain bahut
dil sukun pae jahan aise basere kitne
yun to kahiye ki musafir ko Thikane hain bahut
dar kabhi KHwab ka khulta hai azabon ki taraf
ye na kahiye ki sabhi KHwab suhane hain bahut
kaun si baat karen kis se bachaen pahlu
jo kabhi KHatm na hon aise fasane hain bahut
'raziya' kya kaam hamein ganj-e-giran-maya se
hum se logon ke liye sher-KHazane hain bahut

Ghazal
Dil to hai ek magar dard ke KHane hain bahut
Raziya Faseeh Ahmad