اردو हिंदी
Dil to hazir hai agar kijiye phir naz se ramz | Shaahi Shayari
dil to hazir hai agar kijiye phir naz se ramz

Ghazal

Dil to hazir hai agar kijiye phir naz se ramz

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

;

dil to hazir hai agar kijiye phir naz se ramz
hain tere naz ke sadqe isi andaz se ramz

ramz-o-ima-o-kinae tujhe sab yaad hain yar
hum to bhule hain gham-e-ghamza-e-ghammaz se ramz

apni na-fahmi se main aur na kuchh kar baiThun
is tarah se tumhein jaez nahin eajaz se ramz

dil ko tu sahj mein lewega ye main jaan chuka
yahi nikli hain teri sahj ki aawaz se ramz

hum jien ya ki maren kuchh nahin gham shauq se aap
masnad-e-naz pe farmaiye eazaz se ramz

main isi dam teri tarwar se kaTunga gala
tegh dikhla ke miyan aashiq-e-jaan-baz se ramz

baz jaddam se dar-e-adl-e-shah-e-alam hai
bachcha-e-qaz bhi karta hai yahan baz se ramz

kya tajjub hai agar murda-e-sad-sala jien
kam nahin mere masiha ke bhi eajaz se ramz

hai tujhe KHana-KHarabi hi agar madd-e-nazar
kijiyo ai falak us KHana-bar-andaz se ramz

ramz-e-'ehsan' se hai yani ki ghazal aur bhi paDh
sikh jae koi us chashm-e-fusun-saz se ramz