dil to barsata hai har roz hi gham ke sawan
phir bhi bujhte nahin yaadon ke sulagte indhan
zindagi KHwabon ki chilman mein yun iThlati hai
jaise sakhiyon mein ghiri ho koi sharmili dulhan
ab to har roz hi ek aanch nai uThti hai
ye mera jism na ban jae dahakta madfan
is se pahle ki saba aankh-micholi khele
band kar do dar-e-ummid ka har har rauzan
shab ke aaine mein taswir-e-tamanna dekho
aks dikhlaega kya tum ko sahar ka darpan
is qadar bhi to satao na bahakte KHwabo
dil tabir ki ruk jae larazti dhaDkan
hai wo wahshat ki hawa bhi nahin chalti 'athar'
ban gaya kitna bhayanak ye wafa ka aangan
Ghazal
Dil to barsata hai har roz hi gham ke sawan
Athar Aziz