dil Thahra ek tabassum par kuchh aur baha ai jaan nahin
gar hans dije aur le lije to faeda hai nuqsan nahin
ye naz hai ya istighna hai ya tarz-e-taghaful hai yaro
jo lakh koi taDpe siske fariyaad kare kuchh dhyan nahin
jab sunta hai ahwal mera yun kahta hai ayyari se
hai kaun wo us se hum ko to kuchh jaan nahin pahchan nahin
kuchh ban nahin aata kya kije kis taur se miliye ai hamdam
wo dekh hamein ruk jata hai aur hum ko chain ek aan nahin
tar dekh ke meri aankhon ko ye baat sunata hai hans kar
hain kahte jis ko chah miyan wo mushkil hai aasan nahin
dil phans kar us ki zulfon mein tadbir rihai ki mat kar
kab chhuTa us ke dam se tu wo dana hai nadan nahin
Ghazal
Dil Thahra ek tabassum par kuchh aur baha ai jaan nahin
Nazeer Akbarabadi