dil tha pahlu mein to kahte the tamanna kya hai
ab wo aankhon mein talatum hai ki dariya kya hai
shauq kahta hai ki har jism ko sajda kije
aankh kahti hai ki tu ne abhi dekha kya hai
TuT kar shaKH se ek barg-e-KHizan-amada
sochta hai ki guzarta hua jhonka kya hai
kya ye sach hai ki KHizan mein bhi chaman khilte hain
mere daman mein lahu hai to mahakta kya hai
dil pe qabu ho to hum bhi sar-e-mahfil dekhen
wo KHam-e-zulf hai kya surat-e-zeba kya hai
Thahro aur ek nazar waqt ki tahrir paDho
reg-e-sahil pe ram-e-mauj ne likha kya hai
koi rahbar hai na rasta hai na manzil 'tausif'
hum ki gard-e-rah-e-sar-sar hain hamara kya hai
Ghazal
Dil tha pahlu mein to kahte the tamanna kya hai
Tauseef Tabassum