dil tha ki KHush-KHayal tujhe dekh kar hua
ye shahr be-misal tujhe dekh kar hua
apne KHilaf shahr ke andhe hujum mein
dil ko bahut malal tujhe dekh kar hua
tul-e-shab-e-firaq teri KHair ho ki dil
aamada-e-visal tujhe dekh kar hua
ye hum hi jaante hain judai ke moD par
is dil ka jo bhi haal tujhe dekh kar hua
aai na thi kabhi mere lafzon mein raushni
aur mujh se ye kamal tujhe dekh kar hua
bichhDe to jaise zehn muattal sa ho gaya
shahr-e-suKHan bahaal tujhe dekh kar hua
phir log aa gae mera mazi kuredne
phir mujh se ek sawal tujhe dekh kar hua
Ghazal
Dil tha ki KHush-KHayal tujhe dekh kar hua
Noshi Gilani