dil tha be-kaif mohabbat ki KHata se pahle
lutf aisa nahin aaya tha saza se pahle
hae andaz-e-mohabbat bhi ajab tha un ka
kar rahe the wo jafa mujh pe wafa se pahle
kis qadar teri duaon mein asar tha ai dost
ho gaya hun main sehat-yab dawa se pahle
kya bataun tujhe hamdam ki tha abtar kitna
haal mera tere daman ki hawa se pahle
baat ye meri zara ghaur se sun lo 'danish'
kaam karna na koi nam-e-KHuda se pahle
Ghazal
Dil tha be-kaif mohabbat ki KHata se pahle
Danish Farahi