dil teri nazar ki shah pa kar milne ke bahane DhunDhe hai
giton ki fazaen mange hai ghazlon ke zamane DhunDhe hai
aankhon mein liye shabnam ki chamak sine mein liye duri ki kasak
wo aaj hamare pas aa kar kuchh zaKHm purane DhunDhe hai
kya baat hai teri baaton ki lahja hai ki hai jadu koi
har aan faza mein dil uD kar taron ke KHazane DhunDhe hai
pahle to chhuTe ye dair-o-haram phir ghar chhuTa phir mai-KHana
ab 'taj' tumhaari galiyon mein rone ke Thikane DhunDhe hai
Ghazal
Dil teri nazar ki shah pa kar milne ke bahane DhunDhe hai
Taj Bhopali