dil tere taghaful se KHabar-dar na ho jae
ye fitna kahin KHwab se bedar na ho jae
muddat se yahi parda yahi parda-dari hai
ho koi to parde se numudar na ho jae
mujh se mera afsana-e-mazi na suno tum
afsana naya phir koi tayyar na ho jae
ai masti-e-ulfat sabaq-e-kufr diye ja
jab tak mujhe har chiz se inkar na ho jae
hona hai jo hasti ko meri KHak hi 'simab'
pahle hi se kyun KHak-e-dar-e-yar na ho jae
Ghazal
Dil tere taghaful se KHabar-dar na ho jae
Seemab Akbarabadi