اردو हिंदी
Dil tang usMein ranj-o-alam shor-o-shar hon jama | Shaahi Shayari
dil tang usMein ranj-o-alam shor-o-shar hon jama

Ghazal

Dil tang usMein ranj-o-alam shor-o-shar hon jama

Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni

;

dil tang us mein ranj-o-alam shor-o-shar hon jama
chain aae KHak ghar mein jab itne zarar hon jama

dil mein jo farq Dal diya hai raqib ne
ho jae bar-taraf kahin hum tum agar hon jama

jis ne kiya hai qatl wahi aae nash par
kya faeda hai yun jo hazaron bashar hon jama

aae na kaam ek bhi be-yari-e-nasib
go zat mein kisi ke hazaron hunar hon jama

jata hai yar mangen nishani to kis tarah
apne kahin hawas bhi waqt-e-safar hon jama

likkhi ghazal to KHub magar ye zarur hai
paDhna tab is ko 'sehr' jab ahl-e-hunar hon jama