dil-tang hun makan ke andar paDa hua
bahar abad ka qufl hai dar par paDa hua
mujh par garan guzarti hai meri sada ki gunj
chup hun durun-e-gumbad-e-be-dar paDa hua
mumkin jo ho to ek nazar muD ke dekh le
ek naqsh hai zamin pe miT kar paDa hua
main hi nahin hun din ke bagule ke sath sath
suraj ke panw mein bhi hai chakkar paDa hua
khul hi gai hai aankh to aawaz de ke dekh
KHamosh kyun hai shab ka samundar paDa hua
baiTha hua hun chhup ke hawa ke hisar mein
har-samt hai ghanim ka lashkar paDa hua
mujh ko hawaen chalne se pahle sameT lo
main rahguzar mein hun bikhar kar paDa hua
jaise ho koi mere taaqub mein raat-din
apne wajud ka hai mujhe Dar paDa hua
main chhupta phir raha hun KHud apni hi zat se
'qaisar' mera azab hai mujh par paDa hua
Ghazal
Dil-tang hun makan ke andar paDa hua
Nazeer Qaisar