dil talabgar sahi hashr-ba-daman kyun hai
nala-zan shoala-ba-kaf shauq-e-farawan kyun hai
mahfil-e-saz-o-tarab matla-e-viran kyun hai
shewa-o-sabr-o-sukun dil se gurezan kyun hai
khinch laya tha jo us dil ko teri mahfil mein
wahi andaz-e-nazar aaj pasheman kyun hai
surangon rah mein har-gam hua jata hai
muzmahil KHu-e-safar dard pasheman kyun hai
talKHi-e-kaam-o-dahan kashmakash-e-zehn-o-wajud
ek hasti ke liye ye sar-o-saman kyun hai
dasht-paimai mein bhi wahshat-e-jaan itni na thi
tishnagi sahil-e-dariya pe hirasan kyun hai

Ghazal
Dil talabgar sahi hashr-ba-daman kyun hai
Sajida Zaidi