dil talabgar-e-tamasha kyun tha
yani hasrat-kash-e-duniya kyun tha
din bahr-e-haal guzar hi jate
dil ka ehsan uThaya kyun tha
saKHt begana tha lekin ya-rab
itna manus wo chehra kyun tha
juz ghazal KHak tha daman mein mere
us ne phir pyar se dekha kyun tha
wo agar meri rasai mein na tha
aaine mein koi waisa kyun tha
aankh ko shauq ki dekhe us ko
dil ka pachhtawa ki dekha kyun tha
hasil-e-bazm hai parwane ki rakh
raat bhar shama ka charcha kyun tha
subh ke nam se ghabraata hun
ji ko ras aaya andhera kyun tha
sohbat-e-gul-badnan mein 'shohrat'
dil mein kanTa sa khaTakta kyun tha

Ghazal
Dil talabgar-e-tamasha kyun tha
Shohrat Bukhari