اردو हिंदी
Dil talabgar-e-naz-e-mah-wash hai | Shaahi Shayari
dil talabgar-e-naz-e-mah-wash hai

Ghazal

Dil talabgar-e-naz-e-mah-wash hai

Wali Mohammad Wali

;

dil talabgar-e-naz-e-mah-wash hai
lutf us ka agarche dilkash hai

mujh sun kyun kar milega hairan hun
shoKH hai bewafa hai sarkash hai

kya teri zulf kya tere abru
har taraf sun mujhe kashakash hai

tujh bin ai dagh-baKHsh-e-sina o dil
chaman-e-lala dasht-e-atash hai

ai 'wali' tajrabe sun paya hun
shola-e-ah-e-shauq be-ghash hai