اردو हिंदी
Dil taDap jae na kyun sun kar fughan-e-ahl-e-dard | Shaahi Shayari
dil taDap jae na kyun sun kar fughan-e-ahl-e-dard

Ghazal

Dil taDap jae na kyun sun kar fughan-e-ahl-e-dard

Shafaq Imadpuri

;

dil taDap jae na kyun sun kar fughan-e-ahl-e-dard
un se puchho jo samajhte hain zaban-e-ahl-e-dard

ek se ek baDh ke hai dilchasp dilkash dil-sitan
haal-e-dil afsana-e-gham dastan-e-ahl-e-dard

ye to kahiye munh se ek uf tak kisi ne ki kabhi
le chuke hain aap akasr imtihan-e-ahl-e-dard

hath dho le jaan se koi to ji bhar kar sune
jaan-sitan-e-ahl-e-dil hai dastan-e-ahl-e-dard

kis ke aage dard-e-dil apna kahoge tum 'shafaq'
koi duniya mein nahin ab qadr-dan-e-ahl-e-dard