dil soya hua tha muddat se ye kaisi bashaarat jagi hai
is bar lahu mein KHwab nahin tabir ki lazzat jati hai
is bar nazar ke aangan mein jo phul khila KHush-rang laga
is bar basarat ke dil mein nadida basirat jagi hai
ek baam-e-suKHan par hum ne bhi kuchh kahne ki KHwahish ki thi
ek umr ke baad hamare liye ab ja ke samaat jagi hai
ek dast-e-dua ki narmi se ek chashm-e-talab ki surKHi tak
ahwal barabar hone mein ek nasl ki wahshat jagi hai
ai tana-zanon do chaar baras tum bol liye ab dekhte jao
shamshir-e-suKHan kis hath mein hai kis KHun mein hiddat jagi hai

Ghazal
Dil soya hua tha muddat se ye kaisi bashaarat jagi hai
Azm Bahzad