dil-sitani dilrubai par ghamanD
aap ko hai KHush-adai par ghamanD
jaanta hun us ka nibhna hai muhaal
kya karun main parsai par ghamanD
naz hai qatil ko apni tegh par
tegh ko hai kaj-adai par ghamanD
rahm un ko haal-e-gham par aa gaya
dil kare be-dast-o-pai par ghamanD
aasiyon ko rahmat-e-haq par ghurur
zahidon ko jabha-sai par ghamanD
guftugu bhi mujh se tum karte nahin
is qadar is KHush-adai par ghamanD
parda-e-dar par kisi ko naz hai
hum ko nazron ki rasai par ghamanD
ab unhen hai dil-nawazi ka KHayal
tha jinhen tegh-azmai par ghamanD
phir giraftar-e-qafas ho jaunga
hai abas mujh ko rihai par ghamanD
ho gaya jis ke sabab se main asir
tha mujhe us KHush-nawai par ghamanD
gharq kar dega unhen tufan-e-ishq
'nuh' ko hai na-KHudai par ghamanD
Ghazal
Dil-sitani dilrubai par ghamanD
Nooh Narvi