dil sine mein betab hai dildar kidhar hai
kui mujh ko bata do wo mera yar kidhar hai
hum kab ke chaman-zar mein behosh paDe hain
malum nahin gul kidhar aur KHar kidhar hai
us gul ka pata gar nahin dete ho to yaro
itna to bata do dar-e-gulzar kidhar hai
dil chinne wale koi ghar baiTh rahen hain
puchhen hain yahi rasta-e-bazar kidhar hai
dekha mujhe kal us ne to ghairon se ye bola
lao bhi shitabi meri talwar kidhar hai
yan ho raha hai sina mera aagu hi chhalni
DhunDe hai kahan tir ko sofar kidhar hai
ahwal nipaT tang hai bimar ka tere
is waqt tu ai aaina-ruKHsar kidhar hai
shirin-suKHanan sab hi shukr bechen hain lekin
insaf karo josh-e-KHaridar kidhar hai
barson na mile us se to us shoKH ne hum ko
puchha na kabhi 'mushafi'-e-zar kidhar hai
Ghazal
Dil sine mein betab hai dildar kidhar hai
Mushafi Ghulam Hamdani

