اردو हिंदी
Dil si virani mein saya koi mehman to hai | Shaahi Shayari
dil si virani mein saya koi mehman to hai

Ghazal

Dil si virani mein saya koi mehman to hai

Mushtaq Naqvi

;

dil si virani mein saya koi mehman to hai
apne KHwabon se mulaqat ka imkan to hai

kuchh na kuchh nazr to karna hai tere jalwe ko
aur daulat na sahi koi dil-o-jaan to hai

kya milega hamein ab us ki pashemani se
bewafai pe koi apni pasheman to hai

yun na ho KHud se nibhana tumhein mushkil ho jae
hum ko nazron se girana bahut aasan to hai

qafile walon ko gumrahi ka ehsas hua
kam se kam ab kisi anjam ka imkan to hai