dil si chiz ke gahak honge do ya ek hazar ke bich
'insha' ji kya mal liye baiThe ho tum bazar ke bich
pina-pilana ain gunah hai ji ka lagana ain hawas
aap ki baaten sab sachchi hain lekin bhari bahaar ke bich
ai saKHiyo ai KHush-nazro yak guna karam KHairaat karo
nara-zanan kuchh log phiren hain subh se shahr-e-nigar ke bich
KHar-o-KHas-o-KHashak to jaanen ek tujhi ko KHabar na mile
ai gul-e-KHubi hum to abas badnam hue gulzar ke bich
minnat-e-qasid kaun uThae shikwa-e-darban kaun kare
nama-e-shauq ghazal ki surat chhapne ko do aKHbar ke bich
Ghazal
Dil si chiz ke gahak honge do ya ek hazar ke bich
Ibn e Insha