dil-shikasta hue TuTa hua paiman bane
hum wahi hain jo tumhein dekh ke anjaan bane
chand yaaden meri zanjir-e-shab-o-roz banin
chand lamhe mere khoe hue ausan bane
wo bhi kya fasl thi kya shoala-e-KHirman tha buland
wo bhi kya din the ki daman se gareban bane
in ki duri ka bhi ehsan hai meri sanson par
mujh se is tarah wo bichhDe ki nigahban bane
ahl-e-sahil se nadamat si nadamat hai ki hum
ek kashti-e-tah-e-ab ka saman bane
hae kya aas thi kya kya na tumhein banna tha
tum bane bhi to mere dard ki pahchan bane
ghar sajaana to kuja 'shaz' luTa bhi na sakun
in se shikwa hai ki wo kyun mere mehman bane
Ghazal
Dil-shikasta hue TuTa hua paiman bane
Shaz Tamkanat