dil shab-e-furqat sukun ki justuju karta raha
raat-bhar diwar-o-dar se guftugu karta raha
jo bahaaron ki chaman mein aarzu karta raha
nazr-e-rang-o-bu KHud apna hi lahu karta raha
apni nazron ko KHarab-e-justuju karta raha
jo musalsal imityaz-e-rang-o-bu karta raha
shisha-e-dil jo nazakat mein guhar se kam nahin
ishq mein kaise sitam sahne ki KHu karta raha
aashiqi mein us ki nakaami bhi nakaami nahin
jo fana ho kar bhi teri justuju karta raha
teri chashm-e-mast se pine ke jo qabil na tha
mai-kade mein KHwahish-e-jam-o-subu karta raha
sochna ye hai ki us ke KHun-e-dil ko kya hua
jo qafas mein aarzu-e-rang-o-bu karta raha
dil ne josh-e-shauq mein kitne hi sajde kar liye
dida-e-tar KHun-e-dil se hi wuzu karta raha
jis ne paiham koshishen kin amn-e-alam ke liye
wo KHud apne hi chaman ko surKH-ru karta raha
wo sitam Dhate rahe har dil pe aur har zaKHm-e-dil
shikwa-e-bedad unhin ke ru-ba-ru karta raha
aise diwane ko kya chaak-e-gareban ki ho qadr
umr-bhar jo chaak-e-daman hi rafu karta raha
sare aalam ko rahi ai 'naz' us ki justuju
apne jalwon ko ayan wo ku-ba-ku karta raha

Ghazal
Dil shab-e-furqat sukun ki justuju karta raha
Naaz Muradabadi