dil shadman ho KHuld ki bhi aarzu na ho
gar tu mile KHuda ki mujhe justuju na ho
aankhen tujhe na paen to kuchh bhi na pa saken
gar tu na ho to kuchh bhi mere ru-ba-ru na ho
chubhti hui kahe hai zaban se har ek baat
tu KHub hai jo talKH teri guftugu na ho
uThti nahin nigah bhi ai dil tere sabab
kis se mujhe shikast ho dushman jo tu na ho
mahbub gar mile to mile wo nasib se
lutf-o-karam na ho to sitam ki bhi KHu na ho
har KHub-ru ho shoKH-ada aur wafa-shiar
kis kaam ka hai phul agar rang-o-bu na ho
izzat bhi ek chiz hai duniya mein ai 'falak'
us ghar na ja jahan ki teri aabru na ho
Ghazal
Dil shadman ho KHuld ki bhi aarzu na ho
Heera Lal Falak Dehlvi