dil se ye kah raha hun zara aur dekh le
sau bar us ko dekh chuka aur dekh le
us ko KHabar hui to badal jaega wo rang
ehsas tak na us ko dila aur dekh le
sahra mein kya dhara hai abhi shahr ko na chhoD
kuchh roz doston ki wafa aur dekh le
mausam ka e'tibar nahin baadban na khol
kuchh der sahilon ki hawa aur dekh le
sahra-e-arzu hai qadam dekh-bhaal kar
kanTon ki samt aabla-pa aur dekh le
hota koi to panw ki aahaT se chaunkta
jangal hai kar ke ek sada aur dekh le
dil bhi to ek dayar hai raushan hara-bhara
aankhon ka ye charagh bujha aur dekh le
mumkin hai ek lamhe ki mehman ho bahaar
phulon ki tazgi pe na ja aur dekh le
yun kis tarah bataun ki kya mere pas hai
tu bhi to koi rang dikha aur dekh le
dekhi thi ek jhalak ki uDe rang har taraf
koi pukarta hi raha aur dekh le
'shahzad' zindagi ke jhamele hazar hain
duniya nahin pasand to aa aur dekh le
Ghazal
Dil se ye kah raha hun zara aur dekh le
Shahzad Ahmad