اردو हिंदी
Dil se tiron ka aur kamanon ka | Shaahi Shayari
dil se tiron ka aur kamanon ka

Ghazal

Dil se tiron ka aur kamanon ka

Majid Siddiqui

;

dil se tiron ka aur kamanon ka
KHauf jata nahin machanon ka

ek hi ghar ke fard hain hum tum
farq rakhte hain par zabanon ka

rut badalne ki kya bashaarat de
ek sa rang gulistanon ka

kaun apna hai ek KHuda wo bhi
rahne wala hai aasmanon ka

baat 'majid' ki puchhte kya ho
shaKHs hai ek gae zamanon ka