dil se nikli hui har aah ki tasir mein aa
mang le rab se mujhe aur meri taqdir mein aa
rabta mujh se dil-o-jaan ka agar rakhna hai
mujh se wabasta kisi halqa-e-zanjir mein aa
main banata hun taKHayyul ke qalam se paikar
meri tahrir mere dard ki taswir mein aa
ye bhi mumkin hai kasafat hi dilon ki dhul jae
meri aankhon se jo bahta hai isi nir mein aa
Dhal na jae kahin ye husn-e-suKHan ai 'anwar'
dil ye kahta hai ki is zulf-e-girah-gir mein aa
Ghazal
Dil se nikli hui har aah ki tasir mein aa
Anvar Kaifi