dil se na wahi aur hain 'manzar' na hamin aur
ye waqt hai jo hum hain kahin aur wo kahin aur
hans kar nahin ab ruTh ke ek bar nahin aur
ghussa karo ghussa karo ban jao hasin aur
sab wahm tha duniya thi falak tha na zamin aur
jab aaina dekha to nazar aae hamin aur hamin aur
mera to salam us ko bahaar-e-dar-e-jaanan
tujh se agar achchhi koi jannat hai kahin aur
iqrar se inkar ke andaz hain dilkash
tum yun hi kahe jao nahin aur nahin aur
wadon mein tere ho rahi hai jitni bhi taKHir
hota chala jata hai mujhe utna yaqin aur
malik mujhe ruswai-e-mahshar se bacha le
dena hon jo de le wo sazaen bhi yahin aur
TuTe na magar silsila-e-daur-e-mohabbat
mujh ko na pilao to piye jao tumhin aur
ai lucknow ke phulo na 'manzar' ko satao
ghabra ke chala jae na be-chaara kahin aur
Ghazal
Dil se na wahi aur hain manzar na hamin aur
Manzar Lakhnavi