dil se husul-e-zar ke sabhi zoam haT gae
fikr-e-maash baDh gai KHanon mein baT gae
phir yun hua ki mujh se wo yunhi bichhaD gaya
phir yun hua ki zist ke din yunhi kaT gae
khena sakhi sakhi na sajan ki taraf mujhe
lena sakhi sakhi mere panw rapaT gae
aaina us ko dekh ke mabhut ho gaya
gul-dan mein gulab laja kar simaT gae
aKHroT khaen tapen angeThi pe aag aa
raste tamam ganw ke kohre se aT gae
aane diya na mere buzurgon ne haq pe harf
maidan karbalaon ke lashon se paT gae
Dali nadi mein naw na bargad ke niche peng
tu kya gaya palaT ke wo sab din palaT gae
khaden lagin to chhoD gain khet titliyan
faslen baDhin to Dar parindon ke ghaT gae
us se mili nazar to larazne laga badan
dide sakhi ri dekh ke piritam ko phaT gae
tu shant ho ki teri muraden huin saphal
baadal garaj-baraj ke jo aae the chhaT gae
dekha to us ke tan pe gire kewDe ke phul
panw se aabshaar ke pani lipaT gae
Ghazal
Dil se husul-e-zar ke sabhi zoam haT gae
Nasir Shahzad