dil se har-dam hamein aawaz-e-buka aati hai
band kanon ko bhi girya ki sada aati hai
dil se hai aankh tak aai asar-e-garmi-e-shauq
ashk hasrat se nigah aabla-pa aati hai
gul hua koi charagh-e-sahari o bulbul
hath malti hui patton se sada aati hai
aaina saf sikandar ko dikhaya tu ne
KHub ai KHizr tujhe rah bata aati hai
chhu liya dhoke se daman-e-saba tu ne to kiya
ghuncha-e-gul kahin muTThi mein hawa aati hai
jis qadar wasl-e-butan ka tumhein rahta hai firaq
ai 'nasim' utni kabhi yaad-e-KHuda aati hai
Ghazal
Dil se har-dam hamein aawaz-e-buka aati hai
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi