اردو हिंदी
Dil se hai bahut gurez-pa tu | Shaahi Shayari
dil se hai bahut gurez-pa tu

Ghazal

Dil se hai bahut gurez-pa tu

Jaun Eliya

;

dil se hai bahut gurez-pa tu
tu kaun hai aur hai bhi kya tu

kyun mujh mein ganwa raha hai KHud ko
mujh aise yahan hazar-ha tu

hai teri judai aur main hun
milte hi kahin bichhaD gaya tu

puchhe jo tujhe koi zara bhi
jab main na rahun to dekhna tu

ek sans hi bas liya hai main ne
tu sans na tha so kya hua tu

hai kaun jo tera dhyan rakhe
bahar mere bas kahin na ja to