dil se be-sud aur jaan se KHarab
ho raha hun kahan kahan se KHarab
gham ki dahliz hai bhali kitni
koi uThta nahin yahan se KHarab
main mera aks aur aaina
ye nazara tha darmiyan se KHarab
KHud ko tamir karte karte main
ho gaya hun yahan wahan se KHarab
raushni ek haqir tare ki
aa gai ho ke kahkashan se KHarab
zer-e-lab rakh chhupa ke nam us ka
lafz hote hain kuchh bayan se KHarab
ek muddat se hun main munkir-e-ishq
aa mujhe kar de apni han se KHarab
rang nikhre hain phir wahin pe 'bakul'
meri taswir thi jahan se KHarab
Ghazal
Dil se be-sud aur jaan se KHarab
Bakul Dev